Mera Desh

Mera Desh 

Mera desh, jo kabhi swatantra hua karta tha,

Pata nahi kyu aaj paratantra sa lag raha hai.


Mera desh, jahan har dharam ek samaan hua karta tha,

Pata nahi kyu aaj dharam par lar raha hai.


Mera desh, jahan apraadhi aur rapist neta bane baithe hain,

Aur padhe-likhe log jail ke andar ya sadkon par hain.


Mera desh, jo kabhi sone ki chidiya tha,

Pata nahi kab berozgari aur bhukhmari mein doob gaya.


Mera desh, jis par kabhi garv hua karta tha,

Pata nahi kyu aaj desh chhodne ka mann karta hai.



Comments

Popular posts from this blog

" The Journey Back "

" First Day Out With Friends "

" College Life for Blogging "